Friday, 25 May 2012

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai

Zulmat Kade Main Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai

Na Muzda-E-Visaal Na Nazaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai

Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudaara
Ko Be Hijaab
Ae Shauq Yaan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Main Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai

Deedar, Wada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be Kharosh Hai

Ae Taaza Vaaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhen Hawas-E-Na-O-Nosh Hai

Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibarat Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai

Saaqi Ba Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai

Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daaman-E-Baagbaan-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigaah Wo Firdaus-E-Gosh Hai

Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Main
Naa Vo Suruur-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai

Daag-E-Firaaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Vo Bhi Khamosh Hai

Aate Hain Gaib Se Ye Mazmin Khayaal Main
‘Ghalib’, Sarir-E-Khaama Navaa-E-Sarosh Hai

Zikr Us Parivash Ka, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gaya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna

No comments:

Post a Comment